Janwar, rozana doodh, heat aur sooa, doodh ka khata, WhatsApp bill, staff aur khurak. Internet ke baghair bhi chalti hai, Urdu aur English mein.
Kisi building par click karein aur dekhein HerdSol wahan kya karti hai. Ye app ki asal screens hain.
Farm ko side par khiskayein aur number par tap karein

Har gaye, bhains aur bakri: tag, tasveer, nasal, maa aur poori history ke saath.
Sirf tarjuma ki hui generic app nahi. HerdSol aap ke farm ki zubaan bolti hai, doodh khareedar ke khate se baray ke har janwar tak.
Farm par sab aik hi record par kaam karte hain, har koi apne phone se. Baray mein signal nahi? Kaam jari rakhein, internet aate hi save ho jayega.
| Register | Excel | HerdSol | |
|---|---|---|---|
| Har janwar ka rozana doodh | |||
| Heat, hamal aur sooa ki tareekhein khud hisaab | |||
| Phone par yaad dahani | |||
| Khareedaron ko WhatsApp par doodh ka bill | |||
| Kai log aik saath likh sakein | |||
| Phone ya register gum ho to bhi mehfooz | |||
| Internet ke baghair chalti hai |
7 din har feature ke saath muft shuru karein. Phir apne rewar ke mutabiq plan chunein.
Kuch bhi delete nahi hota. Aap apna saara record khol kar parh sakte hain, lekin plan lene tak naya nahi likh sakte. Payment ki tasdeeq hote hi sab kuch phir se chal parta hai.
Plan chunein, raqam JazzCash, Easypaisa ya bank se bhejein aur payment ke safhe par raseed ka screenshot lagayein. Hum aam taur par chand ghanton mein tasdeeq karte hain aur aap ka plan shuru ho jata hai.
Ji haan. Sab kuch pehle phone par save hota hai aur signal aane par cloud mein chala jata hai. Kai log apne apne phone se aik hi farm par kaam kar sakte hain.
Ji haan, har plan par aur baghair izafi kharche ke. Har mulazim ka apna login hota hai aur aap tay karte hain wo kya khol sake. Mulazim aap ka hisaab dekhe baghair doodh likh sakta hai.
Aap ka record humare server aur aap ke phones par rehta hai. Phone gum ho jaye to naye phone par login karein, sab wapas aa jayega. Hum aap ke farm ka record kabhi nahi bechte na kisi ko dete hain.
Aap janwar, doodh, khareedar aur kharche Excel se la sakte hain. Farm+ par aap ka purana record hum khud muntaqil karte hain.
Paanch minute mein apna farm banayein. Koi payment nahi.